Is Gham-kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare

is gham-kade se kuchh na laga hath hamare

aah-e-dil-e-sozan hi chali sath hamare

dard-o-gham-o-andoh-o-alam nala-e-jaan-kah

hain dushman-e-jaani sabhi yak zat hamare

jis ghat se dil tu ne liya yar hamara

afsos ki hath aai na wo ghat hamare

KHatra na karo aao milo shauq se pyare

jo samjhe ho dil mein nahin wo baat hamare

kya hum ne bigaDa falak-e-sifla ka 'joshish'

kyun darpai-e-iza hai ye din raat hamare

(481) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Gham-kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Is Gham-kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Is Gham-kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Is Gham-kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare in PDF.