Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum
us kamar ke KHayal mein hain hum
baiThe karte hain sair-e-mulk-e-adam
be-KHudi hum pe rakhiyo lutf-o-karam
apne tain bhul jaen jab tak hum
kyun gunahgar ho na nau-e-bashar
pahle hi chuke hazrat-e-adam
aah is bahr mein habab ki tarah
apni bhi zindagi hai koi dam
di hai dhuni dar-e-tawakkul par
chhoD di hum ne minnat-e-alam
dekhne bhi na pae qatil ko
zaKHm itne hi lag gae paiham
nil-gun kyun na ho hisar-e-rang
hai siyah-posh KHana-e-matam
lutf hota jo aish mein 'joshish'
chhoD deta na saltanat adham
(1506) Peoples Rate This