Tujhe Rab Kahe Koi Wahguru Tu Kahin KHuda Kahin Ram Hai

tujhe rab kahe koi wahguru tu kahin KHuda kahin ram hai

ye hain ek nam ki barkaten hamein nam lene se kaam hai

teri marifat ki sharab mein wo surur-o-kaif-e-dawam hai

mai-e-talKH mein bhala kya maza mai-e-talKH pina haram hai

hai haram kya to halal kya ye hamare dil pe hai munhasir

jise chahe dil to halal hai jo na chahe dil to haram hai

mere dil mein teri hi yaad hai tu basa hua hai KHayal mein

hai zaban pe teri hi guftugu mere lab pe tera hi nam hai

wo kisi bhi qaum ka bhai ho karo koshishen ki bhalai ho

kisi baat pe na laDai ho yahi ambiya ka payam hai

teri bargah-e-niyaz mein pae sajda sainkaDon sar jhuken

tu rahim hai tu karim hai tu hi sab ka pesh-imam hai

wo faqir ho ki amir ho ki ho baadshah mere KHuda

ho kisi ka koi bhi martaba yahan jo hai tera ghulam hai

wo karim hai wo rahim hai wo fahim hai wahi kibriya

bas usi ki shan azim hai bas usi ka aali maqam hai

ai 'nahif' tujh ko main kya kahun tujhe dil se kaise bhula sakun

teri sidhi sadi si guftugu tera sidha sada kalam hai

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Rab Kahe Koi Wahguru Tu Kahin KHuda Kahin Ram Hai In English By Famous Poet Julius Naheef Dehlvi. Tujhe Rab Kahe Koi Wahguru Tu Kahin KHuda Kahin Ram Hai is written by Julius Naheef Dehlvi. Read famous Poem Tujhe Rab Kahe Koi Wahguru Tu Kahin KHuda Kahin Ram Hai for youth and Student by Julius Naheef Dehlvi. Free Download Tujhe Rab Kahe Koi Wahguru Tu Kahin KHuda Kahin Ram Hai in PDF.