Hindu Hai Sikh Hai Muslim Hai Isai Hai Jo Bhi Hai Wo Watan Ka Nigahban Hai

hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

ye na dekho ki wo kaam karta hai kya kaam kuchh bhi kare aaKHir insan hai

ye chhua chhut hai dushmani ka sabab ham-watan hain to phir hai ye tafriq kyun

ek barahman hai aur ek janjat hai wo bhi insan hai wo bhi insan hai

hadi-e-din jitne bhi aae yahan sari duniya ko un ka ye paigham tha

nahin insaniyat jis mein insan nahin jis mein insaniyat hai wo insan hai

krishn aae yahan aae munji yahan nanak aae yahan aae rusul-e-KHuda

sabhi ek dusre se mohabbat karen sari duniya ko un ka ye farman hai

ye chhua-chhut hai asl mein pur-KHatar is ka apne watan par hua ye asar

lakhon mare gae sirf is baat par jis ne aisa kiya hai wo nadan hai

ye mazahib to apni jagah hain magar ai 'nahif' is se insan hai be-KHabar

tu hai insan insan se pyar kar yahi insan sachche ki pahchan hai

(1412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hindu Hai Sikh Hai Muslim Hai Isai Hai Jo Bhi Hai Wo Watan Ka Nigahban Hai In English By Famous Poet Julius Naheef Dehlvi. Hindu Hai Sikh Hai Muslim Hai Isai Hai Jo Bhi Hai Wo Watan Ka Nigahban Hai is written by Julius Naheef Dehlvi. Read famous Poem Hindu Hai Sikh Hai Muslim Hai Isai Hai Jo Bhi Hai Wo Watan Ka Nigahban Hai for youth and Student by Julius Naheef Dehlvi. Free Download Hindu Hai Sikh Hai Muslim Hai Isai Hai Jo Bhi Hai Wo Watan Ka Nigahban Hai in PDF.