Hai Abhi Tak Isi Wahshat Ki Inayat Baqi

hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi

koi bhi chiz nahin ghar ki salamat baqi

main bhala hath duaon ko uThata kaise

us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baqi

us ne TuTe hue TukDon se bhi pahchan liya

hai bikhar kar bhi miyan meri nafasat baqi

be-nishan koi na ujDe hue khanDaraat rahen

un mein rahti hai abhi ghar ki shabahat baqi

pahle jazbaat chhalak paDte the KHamoshi se

ab to lahjon mein bhi hai KHali murawwat baqi

KHud ko aadat koi paDne hi nahin deta hun

meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baqi

mere chhune se kali phul bani jati hai

mere hathon mein abhi tak hai shararat baqi

main nazar aaun to dikhta nahin suraj 'aKHtar'

ek hi rah gai chhoTi si karamat baqi

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Abhi Tak Isi Wahshat Ki Inayat Baqi In English By Famous Poet Junaid Akhtar. Hai Abhi Tak Isi Wahshat Ki Inayat Baqi is written by Junaid Akhtar. Read famous Poem Hai Abhi Tak Isi Wahshat Ki Inayat Baqi for youth and Student by Junaid Akhtar. Free Download Hai Abhi Tak Isi Wahshat Ki Inayat Baqi in PDF.