Koi Mohlik Si Bimari Hui Hai

koi mohlik si bimari hui hai

mohabbat aankh se jari hui hai

teri riqqat ki shiddat se hai zahir

ye mere nam par tari hui hai

saza hai ye maashi hijraton ki

bahut masruf bekari hui hai

kabhi qismat ko bechaari na kahna

ki ye taqdir ki mari hui hai

zaban chalti nahin hai is tarah se

ye aari kaT se aari hui hai

wo aise KHwab the sote hue bhi

meri fard-e-amal bhaari hui hai

yaqin KHud uTh gaya hai mujh se mera

meri itni taraf-dari hui hai

mujhe jab bolna aaya hai 'aKHtar'

tabhi lafzon ki dildari hui hai

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Mohlik Si Bimari Hui Hai In English By Famous Poet Junaid Akhtar. Koi Mohlik Si Bimari Hui Hai is written by Junaid Akhtar. Read famous Poem Koi Mohlik Si Bimari Hui Hai for youth and Student by Junaid Akhtar. Free Download Koi Mohlik Si Bimari Hui Hai in PDF.