Meri Mahfil Mein Agar Chand Sitare Hote
meri mahfil mein agar chand sitare hote
wo bhi qurban meri jaan tumhaare hote
mujh ko sahraon se jaane ki ijazat hoti
phir ye dariya na samundar na kinare hote
wo to bas jhuTi tasalli ko kaha tha tum se
hum to apne bhi nahin, KHak tumhaare hote
un ke pichhe bhi koi gham ka samundar hoga
warna aansu na kabhi aankh mein khaare hote
tere wadon ko bhi bachchon ki tarah se rakhta
mujh se hote to sabhi raj dulare hote
tum nahin the to meri rah gai izzat 'aKHtar'
main to paD jata agar panw tumhaare hote
baat sada thi magar der mein samjhe 'aKHtar'
dur kyun hote agar pas tumhaare hote
(987) Peoples Rate This