Sare To Nahin Jaan Bachane Mein Lage Hain

sare to nahin jaan bachane mein lage hain

kuchh ghaw hamein zaKHm lagane mein lage hain

hai sab ko KHabar shah ke chehre pe hai kalak

aaine magar sare chhupane mein lage hain

bech aae ise is ke nigahban kabhi ka

hum log magar ghar ko sajaane mein lage hain

baiTha hi nahin jata parindon mein bhi ab to

be-par ki yahan ye bhi uDane mein lage hain

marne pe khuli hai tere darwesh ki qimat

patthar bhi sirhane ke KHazane mein lage hain

sahra mein chala aaya hun kuchh pyas bujha lun

dariyaon pe sab pine pilane mein lage hain

aa jaegi chakkar mein hamare wo kisi din

hum gardish-e-dauran ko ghumane mein lage hain

lagta hi nahin daur-e-mohabbat bhi kabhi tha

ab log yahan sirf kamane mein lage hain

us ne bhi to hai waqt ki gardish ko sanwara

'aKHtar' se kai chand zamane mein lage hain

(1620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare To Nahin Jaan Bachane Mein Lage Hain In English By Famous Poet Junaid Akhtar. Sare To Nahin Jaan Bachane Mein Lage Hain is written by Junaid Akhtar. Read famous Poem Sare To Nahin Jaan Bachane Mein Lage Hain for youth and Student by Junaid Akhtar. Free Download Sare To Nahin Jaan Bachane Mein Lage Hain in PDF.