Wo Log To Aaankhon Se Bhi Dekha Nahin Karte

wo log to aaankhon se bhi dekha nahin karte

jo dil ke darichon ko kabhi wa nahin karte

aisi hi kashakash mein ulaT jati hai duniya

sambhle na agar dil to sambhaala nahin karte

rakhte hain mohabbat ko taghaful mein chhupa kar

parwa hi to karte hain jo parwa nahin karte

hoga koi hum jaisa kahan hijr-gazida

matam bhi to tanhai ka tanha nahin karte

is chaak-garebani pe samjhane lage sab

dhage bhi ye kahte hain ki uljha nahin karte

kahte hain sabhi sust magar aap kahen kyun

kah den jo kabhi aap to hum kya nahin karte

'aKHtar' ko bura kahte koi baat nahin thi

'ghaalib' ko bura kahte ho achchha nahin karte

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Log To Aaankhon Se Bhi Dekha Nahin Karte In English By Famous Poet Junaid Akhtar. Wo Log To Aaankhon Se Bhi Dekha Nahin Karte is written by Junaid Akhtar. Read famous Poem Wo Log To Aaankhon Se Bhi Dekha Nahin Karte for youth and Student by Junaid Akhtar. Free Download Wo Log To Aaankhon Se Bhi Dekha Nahin Karte in PDF.