Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga

hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga

ye nazuk aabgina us pe main patthar na rakkhunga

wo mausam wo faza wo saaten tere bichhaDne ki

main apne zehn mein mazi ke pas-manzar na rakkhunga

koi maskan na hoga ab meri be-KHwab raaton ka

main apne dushmanon ke beach apna ghar na rakkhunga

chalunga sath apne karwan-e-sarKHushi le kar

jilau mein ab gham-e-andoh ka lashkar na rakkhunga

mera kya hai mujhe kanTon pe so lene ki aadat hai

masaf-e-zindagi mein baalish-o-bistar na rakkhunga

bahut mohtat rahne par bhi akasr bhig jata hai

main koshish lakh karta hun ki daman tar na rakkhunga

baja hai ai 'hazin' mujrim hun na-karda gunahi ka

magar ilzam jine ka main apne sar na rakkhunga

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga In English By Famous Poet Junaid Hazin Lari. Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga is written by Junaid Hazin Lari. Read famous Poem Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga for youth and Student by Junaid Hazin Lari. Free Download Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga in PDF.