Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai

dikhawe ke liye elan-e-faiz-e-am hota hai

magar ek KHas hi halqa mein daur-e-jam hota hai

moarriKH yun jagah deta nahin tariKH-e-alam mein

baDi qurbaniyon ke baad paida nam hota hai

usi ko sochna paDti hain tadbiren rihai ki

jo tair jurm-e-azadi mein zer-e-dam hota hai

habab-e-bahr ki surat ubharne ki zarurat kya

numud-e-be-mahal ka jab bura anjam hota hai

koi sarshaar ho jae koi ek bund ko tarse

inhin baaton se saqi mai-kada badnam hota hai

kahin sabze ko raunda ja raha hai lahlahane par

kahin phulon ka rang-o-bu pe qatl-e-am hota hai

zaban kyun kholte ho jurm ye duniya hai ulfat ki

ishaaron hi ishaaron mein yahan sab kaam hota hai

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai In English By Famous Poet Jurm Mohammadabadi. Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai is written by Jurm Mohammadabadi. Read famous Poem Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai for youth and Student by Jurm Mohammadabadi. Free Download Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai in PDF.