Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai

agar main sach kahun to sabr hi ki aazmaish hai

ye miTTi imtihan pyare ye pani aazmaish hai

nikal kar KHud se bahar bhagne se KHud mein aane tak

farar aaKHir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai

talash-e-zat mein hum ko kisi bazar-e-hasti mein

tera milna tera khona alag hi aazmaish hai

nabud o bud ke phaile hue is kar-KHane mein

uchhalti kudti duniya hamari aazmaish hai

mere dil ke dariche se uchak kar jhankti bahar

gulabi eDiyon wali anokhi aazmaish hai

ye tu jo KHud pe nafiz ho gaya hai sham ki surat

to jaani sham ki kab hai ye teri aazmaish hai

diye ke aur hawaon ke marasim khul nahin pate

nahin khulta ki in mein se ye kis ki aazmaish hai

(2125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai In English By Famous Poet Kaami Shah. Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai is written by Kaami Shah. Read famous Poem Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai for youth and Student by Kaami Shah. Free Download Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai in PDF.