Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_440ad5bda81b43171969b3257dc652d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya - Kabir Ajmal Poetry In English - Darsaal

Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya

main jism o jaan ke khel mein bebak ho gaya

kis ne ye chhu diya hai ki main chaak ho gaya

kis ne kaha wajud mera KHak ho gaya

mera lahu to aap ki poshak ho gaya

be-sar ke phir rahe hain zamana-shanas log

zinda-nafas ko ahd ka idrak ho gaya

kab tak lahu ki aag mein jalte rahenge log

kab tak jiyega wo jo ghazabnak ho gaya

zinda koi kahan tha ki sadqa utarta

aaKHir tamam shahr hi KHashak ho gaya

lahje ki aanch rup ki shabnam bhi pi gai

'ajmal' gulon ki chhanw mein namnak ho gaya

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Main Jism O Jaan Ke Khel Mein Bebak Ho Gaya in PDF.