Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen

nai zamin nae aasman sanwarte rahen

yahi hai shart to phir harf harf marte rahen

yahi saza hai ki lamhon ki baz-gasht ke baad

sadi sadi tere kuche mein bain karte rahen

wo inqilab lakiron se jo ubhar na saka

kahan talak usi KHake mein rang bharte rahen

kuchh aur chahiye diwangi ko hadd-e-junun

kuchh aur arsa-e-mahshar ki hum guzarte rahen

koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi

koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen in PDF.