Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua

sharar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua

bujha mujh mein mujhi ko be-KHabar karta hua

rumuz-e-KHak bab-e-mushtahar karta hua

yunhi aabaad sahra-e-hunar karta hua

zamin-e-justuju gard-e-safar karta hua

ye mujh mein kaun hai mujh se mafar karta hua

abhi tak lahlahata hai wo sabza aankh mein

wo mauj-e-gul ko meyar-e-nazar karta hua

harim-e-shab mein KHun rota hua mah-e-tamam

nigar-e-subh qissa muKHtasar karta hua

meri miTTi ko le pahuncha dayar-e-yar tak

ghubar-e-jaan tawaf-e-chashm-e-tar karta hua

takabbur le raha hai imtihan phir azm ka

sitaron ko mere zer-e-asar karta hua

falak-bosi ki KHwahish tair-e-wahshat ko thi

uDa hai apni miTTi darguzar karta hua

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua in PDF.