Dagh Duniya Ne Diye ZaKHm Zamane Se Mile

dagh duniya ne diye zaKHm zamane se mile

hum ko tohfe ye tumhein dost banane se mile

hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe

wo falane se falane se falane se mile

KHud se mil jate to chahat ka bharam rah jata

kya mile aap jo logon ke milane se mile

man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj

hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile

kabhi likhwane gae KHat kabhi paDhwane gae

hum hasinon se isi hile bahane se mile

ek naya zaKHm mila ek nai umr mili

jab kisi shahr mein kuchh yar purane se mile

ek hum hi nahin phirte hain liye qissa-e-gham

un ke KHamosh labon par bhi fasane se mile

kaise manen ki unhen bhul gaya tu ai 'kaif'

un ke KHat aaj hamein tere sirhane se mile

(2097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh Duniya Ne Diye ZaKHm Zamane Se Mile In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Dagh Duniya Ne Diye ZaKHm Zamane Se Mile is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Dagh Duniya Ne Diye ZaKHm Zamane Se Mile for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Dagh Duniya Ne Diye ZaKHm Zamane Se Mile in PDF.