Hae Logon Ki Karam-farmaiyan

hae logon ki karam-farmaiyan

tohmaten badnamiyan ruswaiyan

zindagi shayad isi ka nam hai

duriyan majburiyan tanhaiyan

kya zamane mein yun hi kaTti hai raat

karwaTen betabiyan angDaiyan

kya yahi hoti hai sham-e-intizar

aahaTen ghabrahaTen parchhaiyan

ek rind-e-mast ki Thokar mein hain

shahiyan sultaniyan daraiyan

ek paikar mein simaT kar rah gain

KHubiyan zebaiyan ranaiyan

rah gain ek tifl-e-maktab ke huzur

hikmaten aagahiyan danaiyan

zaKHm dil ke phir hare karne lagin

badliyan barkha ruten purwaiyan

dida-o-danista un ke samne

laghzishen nakaamiyan paspaiyan

mere dil ki dhaDkanon mein Dhal gain

chuDiyan mausiqiyan shahnaiyan

un se mil kar aur bhi kuchh baDh gain

uljhanen fikren qayas-araiyan

'kaif' paida kar samundar ki tarah

wusaten KHamoshiyan gahraiyan

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hae Logon Ki Karam-farmaiyan In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Hae Logon Ki Karam-farmaiyan is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Hae Logon Ki Karam-farmaiyan for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Hae Logon Ki Karam-farmaiyan in PDF.