Kahin Se LauT Ke Hum LaDkhaDae Hain Kya Kya

kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya

sitare zer-e-qadam raat aae hain kya kya

nasheb-e-hasti se afsos hum ubhar na sake

faraaz-e-dar se paigham aae hain kya kya

jab us ne haar ke KHanjar zamin pe phenk diya

tamam zaKHm-e-jigar muskurae hain kya kya

chhaTa jahan se us aawaz ka ghana baadal

wahin se dhup ne talwe jalae hain kya kya

uTha ke sar mujhe itna to dekh lene de

ki qatl-gah mein diwane aae hain kya kya

kahin andhere se manus ho na jae adab

charagh tez hawa ne bujhae hain kya kya

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Se LauT Ke Hum LaDkhaDae Hain Kya Kya In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Kahin Se LauT Ke Hum LaDkhaDae Hain Kya Kya is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Kahin Se LauT Ke Hum LaDkhaDae Hain Kya Kya for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Kahin Se LauT Ke Hum LaDkhaDae Hain Kya Kya in PDF.