Dusra Ban-bas

ram ban-bas se jab lauT ke ghar mein aae

yaad jangal bahut aaya jo nagar mein aae

raqs-e-diwangi aangan mein jo dekha hoga

chhe december ko shri ram ne socha hoga

itne diwane kahan se mere ghar mein aae

jagmagate the jahan ram ke qadmon ke nishan

pyar ki kahkashan leti thi angDai jahan

moD nafrat ke usi rahguzar mein aae

dharm kya un ka tha, kya zat thi, ye jaanta kaun

ghar na jalta to unhen raat mein pahchanta kaun

ghar jalane ko mera log jo ghar mein aae

shakahaari the mere dost tumhaare KHanjar

tum ne babar ki taraf phenke the sare patthar

hai mere sar ki KHata, zaKHm jo sar mein aae

panw sarju mein abhi ram ne dhoe bhi na the

ki nazar aae wahan KHun ke gahre dhabbe

panw dhoe bina sarju ke kinare se uThe

ram ye kahte hue apne dware se uThe

rajdhani ki faza aai nahin ras mujhe

chhe december ko mila dusra ban-bas mujhe

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dusra Ban-bas In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Dusra Ban-bas is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Dusra Ban-bas for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Dusra Ban-bas in PDF.