Ehtiyat

ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo

mujh se bikhre hue gesu nahin dekhe jate

surKH aankhon ki qasam kanpti palkon ki qasam

thartharaate hue aansu nahin dekhe jate

ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo

chhuT jaane do jo daman-e-wafa chhuT gaya

kyun ye laghzida-KHirami pe pashiman-nazari

tum ne toDa to nahin rishta-e-dil TuT gaya

ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo

meri aahon se ye ruKHsar na kumhla jaen

DhunDti hogi tumhein ras mein nahai hui raat

jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaen

(693) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ehtiyat In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Ehtiyat is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Ehtiyat for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Ehtiyat in PDF.