Phir Ek Bar Tera Tazkira Nikal Aaya

phir ek bar tera tazkira nikal aaya

mujhe tarasha to paikar tera nikal aaya

ye mere ghar ke darichon mein raushni kaisi

yahan charag ka kya silsila nikal aaya

jo naqsh naqsh asiri ka sehr jaante the

un aainon se bhi saya mera nikal aaya

main apne shor mein kab tak daba hua rahta

sadaen deta hua be-sada nikal aaya

lipaT ke rota raha wo bujhe charaghon se

ki taq taq koi silsila nikal aaya

diya tha jis ko zamane ne tere qurb ka nam

mere hi qadmon se wo fasla nikal aaya

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ek Bar Tera Tazkira Nikal Aaya In English By Famous Poet Kaifi Wajdani. Phir Ek Bar Tera Tazkira Nikal Aaya is written by Kaifi Wajdani. Read famous Poem Phir Ek Bar Tera Tazkira Nikal Aaya for youth and Student by Kaifi Wajdani. Free Download Phir Ek Bar Tera Tazkira Nikal Aaya in PDF.