Ba-in Qaid-e-KHamoshi Bhi Ghazal-KHwan Hama-tan Hum Hain

ba-in qaid-e-KHamoshi bhi ghazal-KHwan hama-tan hum hain

na paband-e-zaban hum hain na majbur-e-suKHan hum hain

gulistan mein sharik-e-sohbat-e-ahl-e-chaman hum hain

bas itni baat par kyun qabil-e-dar-o-rasan hum hain

jawab-e-zulm deti ja rahi hai apni mazlumi

idhar talwar rangin hai udhar rangin-kafan hum hain

KHizan se kab ki buniyaad-e-gulistan gir chuki hoti

magar ye KHairiyat hai zer-e-diwar-e-chaman hum hain

nasheman phunk kar samjhen ki sab kuchh phunk Dala hai

hijab-e-gul mein baiThe bijliyon par KHanda-zan hum hain

agarche bazm mein hum bhi hain lekin farq kitna hai

waqar-e-anjuman tum ho wabaal-e-anjuman hum hain

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-in Qaid-e-KHamoshi Bhi Ghazal-KHwan Hama-tan Hum Hain In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Ba-in Qaid-e-KHamoshi Bhi Ghazal-KHwan Hama-tan Hum Hain is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Ba-in Qaid-e-KHamoshi Bhi Ghazal-KHwan Hama-tan Hum Hain for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Ba-in Qaid-e-KHamoshi Bhi Ghazal-KHwan Hama-tan Hum Hain in PDF.