Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai

gham-e-dil hi gham-e-dauran gham-e-jaanana banta hai

yahi gham sher banta hai yahi afsana banta hai

isi se garmi-e-dar-o-rasan hai inqilabon mein

bahaaron mein yahi zulf-o-qad-e-jaanana banta hai

saron ke KHum surahi gardanon ki jam zaKHmon ke

muhayya jab ye ho lete hain tab mai-KHana banta hai

bigaDta kya hai parwane ka jal kar KHak hone mein

ki phir parwane hi ki KHak se parwana banta hai

nigah-e-kam se meri chaak-damani ko mat dekho

hazaron hoshyaron mein koi diwana banta hai

KHarida ja nahin sakta hai saqi zarf rindon ka

bahut shishe pighalte hain to ek paimana banta hai

mere hi donon hath aate hain kaam un ke sanwarne mein

dikhata hai koi aaina koi shana banta hai

baDa sarmaya hai sab kuchh luTa dena mohabbat mein

faqirana libas aate hain dil shahana banta hai

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai in PDF.