Haqiqaton Ka Jalal Denge Sadaqaton Ka Jamal Denge

haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge

tujhe bhi hum ai gham-e-zamana ghazal ke sanche mein Dhaal denge

tapish patingon ko baKHsh denge lahu charaghon mein Dhaal denge

hum un ki mahfil mein rah gae hain to un ki mahfil sambhaal denge

na banda-e-aql-o-hosh denge na ahl-e-fikr-o-KHayal denge

tumhaari zulfon ko jo daraazi tumhaare aashufta-haal denge

ye aql wale isi tarah se hamein fareb-e-kamal denge

junun ke daman se phul chun kar KHirad ke daman mein Dal denge

hamari aashuftagi salamat sulajh hi jaegi zulf-e-dauran

jo pech-o-KHam rah gaya hai baqi wo pech-o-KHam bhi nikal denge

janab-e-shaiKH apni fikr kije ki ab ye farman-e-barhaman hai

buton ko sajda nahin karoge to but-kade se nikal denge

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqaton Ka Jalal Denge Sadaqaton Ka Jamal Denge In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Haqiqaton Ka Jalal Denge Sadaqaton Ka Jamal Denge is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Haqiqaton Ka Jalal Denge Sadaqaton Ka Jamal Denge for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Haqiqaton Ka Jalal Denge Sadaqaton Ka Jamal Denge in PDF.