Har-chand Gham-o-dard Ki Qimat Bhi Bahut Thi

har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi

lena hi paDa dil ko zarurat bhi bahut thi

zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi

majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi

go tark-e-talluq mein suhulat bhi bahut thi

lekin na hua hum se ki ghairat bhi bahut thi

us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne

go apni tabiat mein baghawat bhi bahut thi

waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna

dil ke liye thoDi si inayat hi bahut thi

yun hi nahin mashhur-e-zamana mera qatil

us shaKHs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi

kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha

aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi

har sham sunate the hasinon ko ghazal hum

jab mal bahut tha to saKHawat bhi bahut thi

bulwa ke hum 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain

kya kijiye kam-baKHt ki shohrat bhi bahut thi

(1270) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Gham-o-dard Ki Qimat Bhi Bahut Thi In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Har-chand Gham-o-dard Ki Qimat Bhi Bahut Thi is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Har-chand Gham-o-dard Ki Qimat Bhi Bahut Thi for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Har-chand Gham-o-dard Ki Qimat Bhi Bahut Thi in PDF.