Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi

kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi

ki mai-kashi hai ba-qaid-e-subu-o-jam abhi

hawas-o-hosh ko kahiye mera salam abhi

junun ko aql se lena hai intiqam abhi

na ja sakegi wahan tak nigah-e-am abhi

mera mazaq bahut hai buland-baam abhi

kuchh aur lijiye dar-o-rasan se kaam abhi

junun ka josh hai phaila hua tamam abhi

KHushi kahan ki KHushi ka nahin maqam abhi

na meri subh abhi hai na meri sham abhi

usi tarah se hai be-rabti-e-kalam abhi

fughan bhi aai hai lab par to na-tamam abhi

hai ahl-e-hosh ka kuchh aur hi payam abhi

magar mujhe to hai diwana-pan se kaam abhi

jahan mein aane ko aae to inqalab bahut

badal saki na sahar se hamari sham abhi

usi ko hasil-e-umr-e-wafa banana hai

jo ek KHalish si hai dil mein barae nam abhi

yahan to din ko bhi tarikiyan barasti hain

hamari subh se achchhi hai un ki sham abhi

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi in PDF.