Meri Shaeri Mein Na Raqs-e-jam Na Mai Ki Rang-fishaniyan

meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan

wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan

ye jo aah-o-nala-o-dard hain kisi bewafa ki nishaniyan

yahi mere din ke rafiq hain yahi meri raat ki raniyan

ye meri zaban pe ghazal nahin main suna raha hun kahaniyan

ki kisi ke ahd-e-shabab par miTin kaisi kaisi jawaniyan

kabhi aansuon ko sukha gain mere soz-e-dil ki hararaten

kabhi dil ki naw Dubo gain mere aansuon ki rawaniyan

abhi us ko is ki KHabar kahan ki qadam kahan hai nazar kahan

abhi maslahat ka guzar kahan ki nai nai hain jawaniyan

ye bayan-e-haal ye guftugu hai mera nichoDa hua lahu

abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaniyan

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Shaeri Mein Na Raqs-e-jam Na Mai Ki Rang-fishaniyan In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Meri Shaeri Mein Na Raqs-e-jam Na Mai Ki Rang-fishaniyan is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Meri Shaeri Mein Na Raqs-e-jam Na Mai Ki Rang-fishaniyan for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Meri Shaeri Mein Na Raqs-e-jam Na Mai Ki Rang-fishaniyan in PDF.