Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche

meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche

mujhe Dar ye hai burai tere nam tak na pahunche

mere pas kya wo aate mera dard kya miTate

mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche

ho kisi ka mujh pe ehsan ye nahin pasand mujh ko

teri subh ki tajalli meri sham tak na pahunche

teri be-ruKHi pe zalim mera ji ye chahta hai

ki wafa ka mere lab par kabhi nam tak na pahunche

main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hun

wo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche

wo sanam bigaD ke mujh se mera kya bigaD lega

kabhi raaz khol dun main to salam tak na pahunche

mujhe lazzat-e-asiri ka sabaq paDha rahe hain

jo nikal ke aashiyan se kabhi dam tak na pahunche

unhen mehrban samajh len mujhe kya gharaz paDi hai

wo karam ka hath hi kya jo awam tak na pahunche

hue faiz-e-mai-kada se sabhi faizyab lekin

jo gharib tishna-lab the wahi jam tak na pahunche

jise main ne jagmagaya usi anjuman mein saqi

mera zikr tak na aae mera nam tak na pahunche

tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna

main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche in PDF.