Ye Samundar Hai Kinare Hi Kinare Jao

ye samundar hai kinare hi kinare jao

ishq har shaKHs ke bas ka nahin pyare jao

yun to maqtal mein tamashai bahut aate hain

aao us waqt ki jis waqt pukare jao

dil ki bazi lage phir jaan ki bazi lag jae

ishq mein haar ke baiTho nahin haare jao

kaam ban jae agar zulf-e-junun ban jae

is liye is ko sanwaro ki sanware jao

koi rasta koi manzil ise dushwar nahin

jis jagah chaho mohabbat ke sahaare jao

hum to miTTi se ugaenge mohabbat ke gulab

tum agar toDne jate ho sitare jao

Dubna hoga agar Dubna taqdir mein hai

chahe kashti pe raho chahe kinare jao

tum hi socho bhala ye shauq koi shauq hua

aaj unchai pe baiTho kal utare jao

maut se khel ke karte ho mohabbat 'ajiz'

mujh ko Dar hai kahin be-maut na mare jao

(1169) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Samundar Hai Kinare Hi Kinare Jao In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Ye Samundar Hai Kinare Hi Kinare Jao is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Ye Samundar Hai Kinare Hi Kinare Jao for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Ye Samundar Hai Kinare Hi Kinare Jao in PDF.