Ye Diwane Kabhi Pabandiyon Ka Gham Nahin Lenge

ye diwane kabhi pabandiyon ka gham nahin lenge

gareban chaak jab tak kar na lenge dam nahin lenge

lahu denge to lenge pyar moti hum nahin lenge

hamein phulon ke badle phul do shabnam nahin lenge

ye gham kis ne diya hai puchh mat ai ham-nashin hum se

zamana le raha hai nam us ka hum nahin lenge

mohabbat karne wale bhi ajab KHuddar hote hain

jigar par zaKHm lenge zaKHm par marham nahin lenge

gham-e-dil hi ke maron ko gham-e-ayyam bhi de do

gham itna lene wale kya ab itna gham nahin lenge

sanware ja rahe hain hum ulajhti jati hain zulfen

tum apne zimma lo ab ye bakheDa hum nahin lenge

shikayat un se karna go musibat mol lena hai

magar 'ajiz' ghazal hum be-sunae dam nahin lenge

(1268) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Diwane Kabhi Pabandiyon Ka Gham Nahin Lenge In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Ye Diwane Kabhi Pabandiyon Ka Gham Nahin Lenge is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Ye Diwane Kabhi Pabandiyon Ka Gham Nahin Lenge for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Ye Diwane Kabhi Pabandiyon Ka Gham Nahin Lenge in PDF.