Mohabbat Mein Na Jaan Ko Jaan Na Dil Ko Dil Samajhte Hain

mohabbat mein na jaan ko jaan na dil ko dil samajhte hain

use aasan banate hain jise mushkil samajhte hain

hum apni zindagani ki taghayyur-KHez rahon ko

kabhi jada samajhte hain kabhi manzil samajhte hain

hamara maqsad-e-awwal hai jazb-e-shauq-o-sar-masti

yahi wo zindagi hai jis ko hum kaamil samajhte hain

tu apne dil ki kamzori ko samjha hai na samjhega

wahi mushkil mein hain mushkil ko jo mushkil samajhte hain

'kalim' ahl-e-takallum ki subuk baaton se kyun uljhen

hum apni zindagi ko sahl ya mushkil samajhte hain

(568) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Mein Na Jaan Ko Jaan Na Dil Ko Dil Samajhte Hain In English By Famous Poet Kaleem Ahmadabadi. Mohabbat Mein Na Jaan Ko Jaan Na Dil Ko Dil Samajhte Hain is written by Kaleem Ahmadabadi. Read famous Poem Mohabbat Mein Na Jaan Ko Jaan Na Dil Ko Dil Samajhte Hain for youth and Student by Kaleem Ahmadabadi. Free Download Mohabbat Mein Na Jaan Ko Jaan Na Dil Ko Dil Samajhte Hain in PDF.