Surur-o-kaif Hai Kuchh Lazzat-e-baqa To Nahin

surur-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin

ye ibtida ki haqiqat hai intiha to nahin

sitare tir nigahon se dekhte kyun hain

mera junun koi mere liye bala to nahin

fareb khae na kyun kar kisi ka sada dil

zamana-saz nigahon se aashna to nahin

kahin giri to hai bijli zara nazar kije

kisi gharib ki palTi hui dua to nahin

hazar bar KHizan se bahaar Takrai

chaman ka raaz magar aaj tak khula to nahin

mizaj-e-husn mukaddar hai kyun KHuda jaane

is aaine mein koi baal aa gaya to nahin

hujum-e-naz mein jalwa-farebiyon ke siwa

'kalim' aur koi hadisa hua to nahin

(599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surur-o-kaif Hai Kuchh Lazzat-e-baqa To Nahin In English By Famous Poet Kaleem Ahmadabadi. Surur-o-kaif Hai Kuchh Lazzat-e-baqa To Nahin is written by Kaleem Ahmadabadi. Read famous Poem Surur-o-kaif Hai Kuchh Lazzat-e-baqa To Nahin for youth and Student by Kaleem Ahmadabadi. Free Download Surur-o-kaif Hai Kuchh Lazzat-e-baqa To Nahin in PDF.