Teri Taskin Ka Sabab Kaun-o-makan Hai Ki Nahin

teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin

ruh-parwar ye jahan-e-guzaran hai ki nahin

din ki zau-tabiyan tarik fazaen shab ki

pichhli raaton ke dhundalke se ayan hai ki nahin

nara-e-dar-o-rasan hadisa-e-kaun-o-makan

KHufta-jaanon ke liye KHwab-e-giran hai ki nahin

KHud KHam-o-pech tujhe rah ke batla denge

teri Thokar mein tera sud-o-ziyan hai ki nahin

teri zulfen tera ruKH teri jabin teri nazar

ye chaman aaina-dida-waran hai ki nahin

is nazar se wo mujhe dekhte rahte hain 'kalim'

garm KHun garm nafas garm-e-fughan hai ki nahin

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Taskin Ka Sabab Kaun-o-makan Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Kaleem Ahmadabadi. Teri Taskin Ka Sabab Kaun-o-makan Hai Ki Nahin is written by Kaleem Ahmadabadi. Read famous Poem Teri Taskin Ka Sabab Kaun-o-makan Hai Ki Nahin for youth and Student by Kaleem Ahmadabadi. Free Download Teri Taskin Ka Sabab Kaun-o-makan Hai Ki Nahin in PDF.