Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain

bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain

hamin kya rasm-e-duniya hai ki sab apnon pe hanste hain

hum aise log diwaron pe hansne ke nahin qail

magar jab ji mein aata hai to darwazon pe hanste hain

diwana kar gaya aaKHir hamein farzana-pan apna

ki jin logon ko rona tha hum un logon pe hanste hain

ab is ko zindagi kahiye ki ahd-e-be-hisi kahiye

gharon mein log rote hain magar raston pe hanste hain

yahan apna paraya kuchh nahin KHushbu pe mat jao

galon mein paDne wale phul guldaston pe hanste hain

samajhne wale kya kya kuchh samajhte hain 'sharar'-sahab

rag-e-mani phaDakti hai to hum lafzon pe hanste hain

(568) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain In English By Famous Poet Kaleem Haider Sharar. Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain is written by Kaleem Haider Sharar. Read famous Poem Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain for youth and Student by Kaleem Haider Sharar. Free Download Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain in PDF.