Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain

haqiqat hai ise manen na manen ghaTti baDhti hain

wo jhuTi hon ki sachchi dastanen ghaTti baDhti hain

kisi pahlu se koi tir aa kar chaT jaega

hazaron zawiye hain aur kamanen ghaTti baDhti hain

falak-giri ki KHwahish baal-o-par ko rakh kar degi

hawas-rano parindon ki uDanen ghaTti baDhti hain

shikam-seri ne dastar-KHwan bichhwae hain logon se

mazaq-e-zaiqa samho zabanen ghaTti baDhti hain

bulandi aur pasti ka koi mear tai kar lo

zamin tang ho rahi hai aur chaTanen ghaTti baDhti hain

main in chandi ke bazaron pe apne dant kya gaDun

chamakti phiki paDti sab dokanen ghaTti baDhti hain

'sharar' main aisi miTTi par asas-e-fan nahin rakhta

rasanon ka bharosa kya rasanen ghaTti baDhti hain

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain In English By Famous Poet Kaleem Haider Sharar. Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain is written by Kaleem Haider Sharar. Read famous Poem Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain for youth and Student by Kaleem Haider Sharar. Free Download Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain in PDF.