Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut

hai agarche shahr mein apni shanasai bahut

phir bhi rahta hai hamein ehsas-e-tanhai bahut

ab ye socha hai ki apni zat mein simTe rahen

hum ne kar ke dekh li sab se shanasai bahut

munh chhupa kar aastin mein der tak rote rahe

raat Dhalti chandni mein us ki yaad aai bahut

qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aaKHir bah gae

hum ne palkon ki unhen zanjir pahnai bahut

apna saya bhi juda lagta hai apni zat se

hum ne us se dil lagane ki saza pai bahut

ab to sail-e-dard tham jae sakun dil ko mile

zaKHm-e-dil mein aa chuki hai ab to gahrai bahut

sham ke sayon ki surat phailte jate hain hum

lag rahi tang hum ko ghar ki angnai bahut

aaina ban ke wo surat samne jab aa gai

aks apna dekh kar mujh ko hansi aai bahut

wo sahar tarikiyon mein aaj bhi ru-posh hai

jis ke gham mein kho chuki aankhon ki binai bahut

main to jhonka tha asir-e-dam kya hota 'kalim'

us ne zulfon ki mujhe zanjir pahnai bahut

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut In English By Famous Poet Kaleem Usmani. Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut is written by Kaleem Usmani. Read famous Poem Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut for youth and Student by Kaleem Usmani. Free Download Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut in PDF.