Aasman Sa Mujhe Ghar De Dena

aasman sa mujhe ghar de dena

KHak ho jaun to parde dena

samna aaj ana se hoga

baat rakhni hai to sar de dena

jaane kab se hai dhundlakon ka shikar

nuqte ko shams o qamar de dena

talib-e-waqt nahin hun lekin

maut tak chaar-pahar de dena

jo pata puchhen mera tum un ko

muTThi bhar gard-e-safar de dena

kal ka din be-KHabari ka hoga

sare parchon mein KHabar de dena

de diya hai jo qalam hathon mein

ab suKHan mein bhi asar de dena

phir 'raza' jalwa-numa hota hai

man ke andhon ko nazar de dena

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Sa Mujhe Ghar De Dena In English By Famous Poet Kalidas Gupta Raza. Aasman Sa Mujhe Ghar De Dena is written by Kalidas Gupta Raza. Read famous Poem Aasman Sa Mujhe Ghar De Dena for youth and Student by Kalidas Gupta Raza. Free Download Aasman Sa Mujhe Ghar De Dena in PDF.