Azal Se Ta-ba-abad Ek Hi Kahani Hai

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai

isi se hum ko nai dastan banani hai

ujaD to sakta hai lekin badal nahin sakta

wo haq-shanas jo ek ahd ki nishani hai

KHirad ki baaten kahan tak karoge diwano

KHirad ke nam pe kuchh KHak bhi uDani hai

tumhaare rang-e-jafa ko bhi hai qayam kahin

hamare ishq ki manzil to kaamrani hai

faqat samajhne ke andaz hain qadim o jadid

fasana-go ke to lab par wahi kahani hai

hayat lakh ho fani magar ye sun rakhiye

hayat se jo hai maqsud ghair-fani hai

suni-sunai pe tarjih lakh bar us ko

kitab-e-dil ki 'raza' baat aasmani hai

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azal Se Ta-ba-abad Ek Hi Kahani Hai In English By Famous Poet Kalidas Gupta Raza. Azal Se Ta-ba-abad Ek Hi Kahani Hai is written by Kalidas Gupta Raza. Read famous Poem Azal Se Ta-ba-abad Ek Hi Kahani Hai for youth and Student by Kalidas Gupta Raza. Free Download Azal Se Ta-ba-abad Ek Hi Kahani Hai in PDF.