Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

rah-gir jaise sainkaDon raston mein baT gaya

afsos dil tak aane ki rahen na khul sakin

koi faqat KHayal tak aa kar palaT gaya

hum taul baiThe subh-dam insan ko sae se

suraj ke sar pe aate hi saya simaT gaya

kya jaane kis chaTan se Takra gaya hai dil

chalta hua safina achanak ulaT gaya

ab koi DhunD-DhanD ke lao naya wajud

insan to bulandi-e-insan se ghaT gaya

manzil pe gard-e-wahm-o-guman thi wo dhul gai

raste mein aql o hosh ka patthar tha haT gaya

mahfil bhi nur-bar hai saqi bhi KHum ba-dosh

mere hi naw nosh ka meyar ghaT gaya

manzil kahin mili na mili lekin ai 'raza'

manzil ke ishtiyaq mein rasta to kaT gaya

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya In English By Famous Poet Kalidas Gupta Raza. Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya is written by Kalidas Gupta Raza. Read famous Poem Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya for youth and Student by Kalidas Gupta Raza. Free Download Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya in PDF.