Main Teri Nigah Mein Ek Chaman Tha
main teri nigah mein ek chaman tha
ye husn-e-nazar tha husn-e-zan tha
pakka tha jo man ka KHasta-tan tha
wo qais kahan tha kohkan tha
maKHmur si ho rahi thin aankhen
rujhan-e-gunah zau-fagan tha
duniya maqtal bani thi aur dil
apne hi KHayal mein magan tha
gham-KHana ho ke rah gaya hai
wo lafz jo mabad-e-suKHan tha
uDta phirta ghubar har-su
ye dasht-e-rawan kabhi chaman tha
kahne ko to mar chuki thi KHwahish
baqi magar us ka bankpan tha
fankar the hum na the kafan-kash
zindon ke liye hamara fan tha
kya ruh damak damak uThi thi
kundan sa KHayal ka badan tha
go honT 'raza' ke sil gae the
KHame ki zaban se naghma-zan tha
(873) Peoples Rate This