Wo Phaile Sahraon Ki Jahan-baniyan Kahan Hain

wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain

ye sab to ghar jaisa hai wo viraniyan kahan hain

wahi ummiden shikast-e-dil ki wahi kahani

wo jaan-ba-kaf doston ki qurbaniyan kahan hain

sulag rahe hain zamin zaman phir bhi puchhte ho

sharar-faroshon ki qahr-samaniyan kahan hain

qadam qadam par fareb pag pag nukile kanTe

chaman tak aane ki ab wo aasaniyan kahan hain

'raza' ye mahfil to sard hi hoti ja rahi hai

kahan hain shamen wo shoala-samaniyan kahan hain

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Phaile Sahraon Ki Jahan-baniyan Kahan Hain In English By Famous Poet Kalidas Gupta Raza. Wo Phaile Sahraon Ki Jahan-baniyan Kahan Hain is written by Kalidas Gupta Raza. Read famous Poem Wo Phaile Sahraon Ki Jahan-baniyan Kahan Hain for youth and Student by Kalidas Gupta Raza. Free Download Wo Phaile Sahraon Ki Jahan-baniyan Kahan Hain in PDF.