Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main

zaban pe aah na sine pe dagh laya main

tumhaari bazm se kya na-murad aaya main

suragh-e-mehr-o-mohabbat ka DhunDiyo na kahin

ki un ki rakh hawa mein bikher aaya main

zamin ki shamon se jab dil ko raushni na mili

falak se chand sitare utar laya main

KHayal o fikr ki aawargi are tauba

nikal gaya jo kahin hath hi na aaya main

hazar qafile marg o hayat ke guzre

na dard ne kabhi thama na muskuraya main

shabab par tha chaman intiKHab-e-gul kaisa

tamam phul nazar mein sameT laya main

koi safar sa safar tha koi thi baT si baT

rah-e-hayat pe do-gam chal na paya main

bajae nala raza bar-ha hua aisa

ghamon ki shorish-e-paiham pe muskuraya main

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main In English By Famous Poet Kalidas Gupta Raza. Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main is written by Kalidas Gupta Raza. Read famous Poem Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main for youth and Student by Kalidas Gupta Raza. Free Download Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main in PDF.