Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag

koi markaz se alag hai koi mehwar se alag

aadmi KHud ho gaya hai apne paikar se alag

kitne KHanon mein baTa hai ahd-e-nau ka aadmi

koi bahar se juda hai koi andar se alag

be-libasi ke siwa ab kuchh nazar aata nahin

is qadar hai jism KHuddari ki chadar se alag

dagh-e-dil kashmir ka gujraat ka dil dardnak

hadisa koi kahan hai chhe december se alag

band thin almariyon mein chahaton ki filen

kis ne ki 'aKHtar' ye dastawez daftar se alag

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag In English By Famous Poet Kalim Akhtar. Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag is written by Kalim Akhtar. Read famous Poem Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag for youth and Student by Kalim Akhtar. Free Download Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag in PDF.