Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh

tere mere ghar ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh

jaise ho phulon ki rangat bahar kuchh aur andar kuchh

bahar bahar KHamoshi hai andar andar hangama

kaisi hai ye jism ki hiddat bahar kuchh aur andar kuchh

lafz hai kuchh aur mani kuchh har misre mein fankar hai gham

aise waise sher ki lazzat bahar kuchh aur andar kuchh

kyun na aankh mein aansu aae kyun na dil ko choT lage

apne apne des ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh

koi na shayad jaan sakega suraj ki matwali chaal

shahr mein kyun hai dhup ki shiddat bahar kuchh aur andar kuchh

gahri nazar walon mein 'aKHtar' raushan hai pahchan alag

phir bhi kyun hai aap ki izzat bahar kuchh aur andar kuchh

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh In English By Famous Poet Kalim Akhtar. Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh is written by Kalim Akhtar. Read famous Poem Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh for youth and Student by Kalim Akhtar. Free Download Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh in PDF.