Abhi Dukhi Hun Bahut Aur Bahut Udas Hun Main

abhi dukhi hun bahut aur bahut udas hun main

hansun to kaise ki taswir-e-dard-o-yas hun main

qarib rah ki bhi tu mujh se dur dur raha

ye aur baat ki barson se tere pas hun main

bhaTak raha hun abhi KHar-dar sahra mein

magar mizaj-e-gulistan se ru-shanas hun main

jo tirgi mein diya ban ke raushni baKHshe

us e'timad ki halki si ek aas hun main

KHud apne hath se sita hun aur pahanta hun

is ahd-e-nau ka wo bikhra hua libas hun main

'kamal' mujh ko nai nasl yaad rakkhegi

kitab-e-zist ka ek aisa iqtibas hun main

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Dukhi Hun Bahut Aur Bahut Udas Hun Main In English By Famous Poet Kamal Jafari. Abhi Dukhi Hun Bahut Aur Bahut Udas Hun Main is written by Kamal Jafari. Read famous Poem Abhi Dukhi Hun Bahut Aur Bahut Udas Hun Main for youth and Student by Kamal Jafari. Free Download Abhi Dukhi Hun Bahut Aur Bahut Udas Hun Main in PDF.