Dasht-e-gham Se Guzar Raha Hun Main

dasht-e-gham se guzar raha hun main

tirgi mein nikhar raha hun main

waqt ne qadr ki nahin warna

waqt ka ham-safar raha hun main

bikhra bikhra hun ek muddat se

rafta rafta sanwar raha hun main

KHud-numai ki har bulandi se

zina zina utar raha hun main

shukr tera ki ai junun-e-safar

KHud se bhi be-KHabar raha hun main

nam mera 'kamal' hai lekin

umr bhar be-asar raha hun main

(820) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-gham Se Guzar Raha Hun Main In English By Famous Poet Kamal Jafari. Dasht-e-gham Se Guzar Raha Hun Main is written by Kamal Jafari. Read famous Poem Dasht-e-gham Se Guzar Raha Hun Main for youth and Student by Kamal Jafari. Free Download Dasht-e-gham Se Guzar Raha Hun Main in PDF.