Gul-o-saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum

gul-o-saman ki tarah dil mein hans rahe hain hum

ye aur baat ba-zahir bujhe bujhe hain hum

koi bhi wahima gumrah kar nahin sakta

tere KHayal ki zanjir mein bandhe hain hum

kabhi to uljha kiye kaise kaise logon se

kabhi to aise hua KHud se laD paDe hain hum

nigar-KHane mein taswir-e-KHasta-tar ki tarah

kisi ke samne kab se saje hue hain hum

kiye hain auron pe tanqid-o-tabsare lekin

KHud apna jaeza ab tak na le sake hain hum

hamesha aap ko samjha ki aap apne hain

hamesha aap ne samjha ki dusre hain hum

'kamal' hum se KHushamad kisi ki ho na saki

is e'tibar se mashhur sar-phire hain hum

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-o-saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Kamal Jafari. Gul-o-saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum is written by Kamal Jafari. Read famous Poem Gul-o-saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum for youth and Student by Kamal Jafari. Free Download Gul-o-saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum in PDF.