Baadal Aaj Kai Dinon Ke Baad Roya

dur gagan mein kahin tha ab tak khoya

baadal aaj kai dinon ke baad roya

baadal rota main muskuraata hun

wo gham bitata main KHushiyan manata hun

baadal ke aansu ne sara jag bhigoya

baadal aaj kai dinon ke baad roya

ab baadal rota main hansta nahin tha

us ke aansu par maza kasta nahin tha

baadal ke aansu ne hariyali ka manzar laya

sapnon sa tha darpan jag ko aansu ne chamkaya

baadal ne jaise rone ki zid thi Thani

us ke aansu dharti par kar rahe the man-mani

ab baadal rota to main bhi rota hun

apne sapne us ke aansu se bhigota hun

hariyali ka manzar jaise ujDa kahi khoya

baadal aaj kai dinon ke baad roya

kuchh mahine bite baadal man gaya

apne aansu ko thamna jaise jaan gaya

ab badal muskuraata main muskuraata hun

rone par kisi ke na hansna sab ko samjhata hun

dur gagan mein kahi tha ab tak khoya

baadal aaj kai dinon ke baad roya

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baadal Aaj Kai Dinon Ke Baad Roya In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Baadal Aaj Kai Dinon Ke Baad Roya is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Baadal Aaj Kai Dinon Ke Baad Roya for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Baadal Aaj Kai Dinon Ke Baad Roya in PDF.