Chalo Phir Ek Naya Mazhab Banaen

chalo phir ek naya mazhab banaen

kuchh aur logon ko banTe aapas mein

baDhaen ranjishen un ki

uksaen logon ko qatl-e-am ke liye

kuchh marenge

kuchh lahuluhan honge

chingari jalti rahegi

piDhi-dar-piDhi

ek dusre ko nicha dikhane ki

kuchh aur KHud-gharaz kud paDenge

is ranjish ke khel mein

sekenge roTiyan

mayyat ki chingari par

aag bujh gai to

mazar ke

diye

se phir jala denge

jala kar ghar hamara

apna mahal raushan karenge

bit jaengi kai piDhiyan

bhul jaengi karan aapsi laDai ka

dharm-guru phir uThenge

sikh denge dharm-raksha ka

kahenge laD-maro

apne dharm ke liye

lekin

kabhi sewam dharm ki raksha ke liye laDne na aaenge

chalo phir ek naya mazhab banaen

kuchh aur logon ko banTen aapas mein

(672) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Chalo Phir Ek Naya Mazhab Banaen In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Chalo Phir Ek Naya Mazhab Banaen is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Chalo Phir Ek Naya Mazhab Banaen for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Chalo Phir Ek Naya Mazhab Banaen in PDF.