Wo Jo Astronaut Chand Se Aae Hain

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

koi bata do un ko

koi bata do un ko

mera chand kaisa dikhta hai

kabhi dekhna punam ki raat mein

ek dhudli dhundli si

chhawi nazar aaegi

jaise koi bachcha man

se lipTa ho

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kahan se

jhuTi taswiren lae hain

kahte hain chand marusthal hain

are main ne to kai raaten

chand ke pani se

pi kar guzar di

ek raat baDh aa gai

chand par

subh gila takiya

main ne dhup mein sukhaya tha

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

chand ki badalti

chandni se kai dil juDe hain

wo chand ki aThkheliyon ko

koi wigyan batate hain

kahte hain ek upgrah hai

are hum to bachpan

se mama kahte hain

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

wo jo sharma ke

pal bhar ke liye

chhup jata hai

use ai chandr par

grahan kahte hain

unhen kya pata

kaise guzarta hun main

amawas ki raaten

bina us ke

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

mujhe lagta kisi

ghalat pate par chale gae the

ai astronaut

aur

chand se hai un ki purani dushmani

is liye sara dosh chand ko dete hain

wo jo astronaut

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

wo jo astronuat

chand se aae hain

pata nahin kaha se

jhuTi taswiren lae hain

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Astronaut Chand Se Aae Hain In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Wo Jo Astronaut Chand Se Aae Hain is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Wo Jo Astronaut Chand Se Aae Hain for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Wo Jo Astronaut Chand Se Aae Hain in PDF.